Junaid Jamshed Naat - Ya Taiba Aie Taiba Lyrics

Ya Taiba, Aie Taiba is a beautiful Naat by Junaid Jamshed and its lyrics are below with Arabic words translated in English.

Ragoon mein woh lahoo baki nahin hai
Woh dil, woh arzoo baki nahin hai
Namaz o roza o qurbani o hajj
Yeh sab baki hain, tu baki nahin hai.

Aie Taiba, Aie Taiba, ummat ka safeena
Roh e zameen per koi nahin hai, aisa hai Madina.

Aie Taiba, Aie Taiba, ummat ka safeena
Roh e zameen per koi nahin hai, aisa hai Madina.

Kuch Makki, kuch Madani, ayetein Quraani
Hijrat ki, tha hukmay rabbani
Khairul anam, darood o salaam, Muhammad
Ishq e Rasool, duaein houn qabool, Azmat E Madina.

Ya Tayba, Ya Tayba, ya dawa al-ayyana
Eshta`nalik wil hawa nadana wil hawa nadana.

Ya Tayba, Ya Tayba, ya dawa al-ayyana
Eshta`nalik wil hawa nadana wil hawa nadana.

[ O Tayba, O Tayba
  O cure of the patient
  we missed you, and passion has called us to you.]

Qiblaati Baitullahi saabir, al-Laani yaumal-laki zaayeer
Ya turah haltaraani naazir, lil kaaba tug murnib aamaana
Tug murnib aamaana..

[ My direction of prayer (my Qiblah), the house of Allah, I’m patient
  perhaps a day will come to visit you
  I wonder, Will I be looking upon alkaaba
  and being overwhelmed with it’s safety.]

Aie Tayba, Aie Tayba, ummat ka safina
Rooh e zameen per koye nahin hai, aisa hay Madina.

Maidan e badr, jabl e Ohad, jazba e imani
Ajm o arab teri hee sultani
Fatima, Ali, Hassan o Hussain gharana
App rashadi, khalqa e sahaba, kiya hoga woh zamana…

Aie Taiba, Aie Taiba, ummat ka safeena
Roh e zameen per koi nahin hai, aisa hai Madina.

Kuch Makki, kuch Madani, ayetein Quraani
Hijrat ki, tha hukmay rabbani
Khairul anam, darood o salaam, Muhammad
Ishq e Rasool, duaein houn qabool, Azmat E Madina.

Ya Tayba, Ya Tayba, ya dawa al-ayyana
Eshta`nalik wil hawa nadana.
wil hawa nadana.

Junaid Jamshed Naat Lyrics - Jalwa E Janaa (Maula Yaa Salli Wa Sallim)

Jalwa-E-Janaa is a beautiful urdu naat sharif by Junaid jamshed. The lyrics of the naat are as shown below.

Jalwa e Janaa, Jalwa e Janaa
Jalwa e Janaa, Jalwa e Janaa.

Maula Yaa Salli Wa Sallim Daiman Abadan
Ala Habi bika Khairi Khalqi Kulli’ini.

Maula Yaa Salli Wa Sallim Daiman Abadan
Ala Habi bika Khairi Khalqi Kulli’ini.

Na Koi Aap Sa Ho Ga Na Koi Aap Jesa Tha
Koi Yusaf Say Poochay Mustafa Ka Husn Kesa Tha
Zameen o Aasmaan Main Koi Bhi Misaal Na Mili.

Maula Yaa Salli Wa Sallim Daiman Abadan
Ala Habi bika Khairi Khalqi Kulli’ini.

Daleel e Zindagi Wo Hain Kamaal e Bandagi Wo Hain,
Koi Bhi Daur Ho Us Main Meraj e Aadmi Wo Hain,
Wohi Toh Deen o Duniya Hai Jo Baatain Aap Nay Kahin.

Jalwa e Janaa, Jalwa e Janaa
Jalwa e Janaa, Jalwa e Janaa.

Maula Yaa Salli Wa Sallim Daiman Abadan
Ala Habi bika Khairi Khalqi Kulli’ini.

Rasulullah Habibullah Imam Al Mursaleen
Rasulullah Habibullah Imam Al Mursaleen.

Koi Bhi Baat Ho Har Hukm Unka Mutabar Aisa
Kay Un Ka Haan Nahin Kehna Bhi Hai Quran Kay Jesa
Hadith e Paak Kehlaain Jo Baatein Aap Nay Kahin.

Maula Yaa Salli Wa Sallim Daiman Abadan
Ala Habi bika Khairi Khalqi Kulli’ini.

Durood Un Par Salam Un Par Yehi Kehna khuda Ka hai
Khuda Kay Baad Jo Hai Martaba Salle Ala Ka Hai
Wohi Sardaar e Alam Hain Wohi Gham Khwaar e Ummat Hian
Wohi Toh Hashar Kay Maidan Main Sab Ki Shifa’at Hain
Shifa’at Kay liye Sab Ki Nazar Un Par Lagi Ho Ge.

Maula Yaa Salli Wa Sallim Daiman Abadan
Ala Habi bika Khairi Khalqi Kulli’ini.

Maula Yaa Salli Wa Sallim Daiman Abadan

Junaid Jamshed Naat - Duniya Ke Aye Musafir Manzil Teri Qabar Hai Lyrics

Duniya Ke Aye Musafir Nasheed is by Junaid jamsheed from 2010 album Hadi Ul Anaam. The Lyrics of the Nasheed is as shown below.

Duniya ke aye musafir, manzil teri qabar hai, manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu, do din ka yeh safar hai, do din ka yeh safar hai

Duniya ke aye musafir, manzil teri qabar hai, manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu, do din ka yeh safar hai, do din ka yeh safar hai

Jab se bani hai duniya, laakhon karoud aaye
Baaki raha na koi, mitti me sab samaye, mitti me sab samaye
mat bhool na yaha per sabka yahi hashar hai, sabka yahi hashar hai

Duniya ke aye musafir, manzil teri qabar hai, manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu, do din ka yeh safar hai, do din ka yeh safar hai

Aankho se tune apni kitne janaze dekhe
Haatho se tune apne dafnaye kitne murde, dafnaye kitne murde
Anjam se tu apne kyu itna bekhabar hai, kyu itna bekhabar hai

Duniya ke aye musafir, manzil teri qabar hai, manzil teri qabar hai

Maqmal pe sone wale mitti me so rahe hain
Shaho gadha yaha per sab ek ho rahe hain
Dono huye barabar yeh maut ka asar hai, yeh maut ka asar hai

Duniya ke aye musafir, manzil teri qabar hai, manzil teri qabar hai

Matti ke putle tujkhu matti me he samana
Ek din yaha tu aya , ek din yaha se jana
Rukna nahi yaha per, jaari tera safar he, jaari tera safar he

Duniya ke aye musafir, manzil teri qabar hai, manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu, do din ka yeh safar hai, do din ka yeh safar hai
Duniya ke aye musafir